Monday, July 26, 2010


Dil ki lagi ban gayi  :- Rahi

Dil-Lagi  Na Jane Kab Dil Ki Lagi Ban Gayi
Muskura Kar Dekha Usne Aur Jindagi Ban Gayi

Uske Masum Se Chrey Se Nahi Hat.Ti Meri Nazar
Uski Ye Shararti Aankhen Jine Ki Wajah Ban Gayi

Uske Shabnami Hoton Se Ek Jaam Churana Tha Mujhe
Bas Yahi Khwaish Mere Pine Ki Wajah Ban Gayi

Kabbhi Chalti Thi Wo Kabhi Rukti Dekh Kar Mujhe
Bas Uski Yahi Adaa Mere Sanson Ki Dhadkan Ban Gayi

Jara Sa Bahkta Hua Uska Wo Duppattaa Sambhalna
Offfff Uski Ye Shararat Meri Saja Ban Gayi

Palat Kar Dekhna Uska Wo Uska Muskura Ke Chale Jana
Sach Kehta Hu Yaron Meri Dhadkan Hi Tham Gayi

Kabhi Aati Hai Lehra Kar Kadam Bhi Dagmagaty Hai
Mere Muh Se Bol Nahi Nikalty Shabdon Ki Duniya Hi Jam Gayi

Jo Hua Pyaar Ka Ikrar Kabhi Uski Tassvir Se
Wo Bhi Sharam Kha Ke Mere Hathon Se Gum Gayi
 : Rahul soni “Rahi”

No comments:

Post a Comment