Ek khushi ke sahare :- Rahi
Mai Baitha Tha Ek Sham Kisi Jharne Ke Kinare
Wo Chidiyon Ki Chch.Hahat , Wo Bhawron Ki Pokaren
Wo Parwaton Se Chup Chup Kar Dekhta Dinkar
Wo Aasmaan Se Tank-Jhank Karta Chand Nikal Kar
Laga Aisa Hamko Ke Jaise Aaj Khushi Ho
Ke Meri Jindagi Me Koi Naya Pahar Aaya Sanwar Kar
Ke Khush Hnu Mai Ab Us Ek Hi Khushi Ke Sahare
Mai Baitha ................!

Wo Kaliyon Ka Khilna Bagon Me Pariyon Ka Machalna
Wo Sagar Ki Lahron Se Milna Bichadna
Wo Ret Pe Naam Uska Likhna Mitana
Wo Pass Aakar Mere Dur Jane Ka Bahana
Ke Ban Gaya Hai Koi Mere Dil Ki Diwaren
Mai Baitha ................!
Wo Sagar Ki Lahron Se Milna Bichadna
Wo Ret Pe Naam Uska Likhna Mitana
Wo Pass Aakar Mere Dur Jane Ka Bahana
Ke Ban Gaya Hai Koi Mere Dil Ki Diwaren
Mai Baitha ................!
Wo Gaon Ke Lah.Lahaty Khet Me Faslen
Wo Rahim Ke Dohe Aur Galib Ki Gazlen
Wo Bansuri Dhun Wo Dholak Ki Thap
"Rahi" Inhe Chhod Kar Kaise Niklen
Ke Aao Aaj Fir Mil Kar Inko Sanwaren
Mai Baitha ................!
Wo Rahim Ke Dohe Aur Galib Ki Gazlen
Wo Bansuri Dhun Wo Dholak Ki Thap
"Rahi" Inhe Chhod Kar Kaise Niklen
Ke Aao Aaj Fir Mil Kar Inko Sanwaren
Mai Baitha ................!
: Rahul soni “Rahi”
No comments:
Post a Comment