Wednesday, August 18, 2010


Nazar aata hai  :- Rahi


Jara Jara Sa Badla Aaj Har Shaks Nazar Aata Hai
Jara Jara Sa Balta Hua Har Manjar Nazar Aata Hai
Jara Sa Badla Hai Mera Mijaj Bhi Ab To
Jara Jara Sa Badla Mera Aks Nazar Aata Hai

Hakikat Ye Hai Ke Mai Nahi Chahta Tha Kabhi Badalna
Jara Jara Sa Koi Mujhe Ab Badalta Nazar Aata Hai

Mujhe Na Chah Thi Kabhi Kisi Ke Pyaar Ki
Jara Jara Sa Koi Mujhe Mera Diwana Nazar Aata Hai

Jab Bhi Kabhi Ki Maine Guftgu Is Duniya Ki Hakiqat Se
Jara Jara Sa Usme Bhi Mujhe Dhoka Nazar Aata Hai

Kabhi Aaogy Mere Pass Mere Dil Me Jhankogy
Jara Sa Dard Jara Sa Pyaar Mere Dil Me Nazar Aata Hai

Kabhi Dekhogy Meri Aankhon Me Jo Hakiqat Ki Diwani Hai
Jara Jara Sa Dard-E-Bewafai Isme Bhi Ubhar Jata Hai

Nahin Hai Aaj Yakin Khud Pe Itna Mashruf Hu Duniyadari Me
Jara Sa Sach Jara Sa Jhuth Mere Dil Me Basa Jata Hai
: Rahul soni “Rahi”


No comments:

Post a Comment