Sagar hai, sukhe nahi milty :- Rahi
Kya Khub Kahtey Ho Mere Aansu Nahi Girty
Meri Aankhon Me Dekh Lo,Sagar Hai,Sukhe Nahi Milty
Wo Bakhubi Se Kahty Hai ,Bhut Ham Muskuraty Hai
Kaise Ye Batain Unhen,Ke Ham Aansu Chupaty Hai

Kiye Roshan Diwaron Ko,Apne Dil Ke Charagon Se
Ujalon Ke Liye Ham Aaj,Apna Khun Jalaty Hai

Aaj Ragon Me Meri Khun Ke,Katrey Nahi Milty
Meri Aankhon Me Dekh Lo ................
Ujda Chaman Mera,Jise Sajaya Tha Pyaar Se
Tute Wo Sapne, Jo Udtey The Dil Ke Taar Se

Aaj Tanhaiyan Hai Sathme ,Patjhad Ke Mousam Hai
Aaj Firty Hai Dar-Badar Ham Hue Bejaar Se

Raah Me "Raahi" Kahin Apne Nahi Milty
Meri Aankhon Me Dekh Lo ................
Meri Aankhon Me Dekh Lo ................
: Rahul soni “Rahi”
No comments:
Post a Comment