Wednesday, August 18, 2010


Tum aakar kabra par     :- Rahi

Dushmanon Ko Tum Aaj Apne Kaal Dena
Bharat Bhumi Ki Laaj Ke Liye Bhaal Dena
Mar Bhi Jayen "Rahi" Yadi Yudhe Ran Me
Tum Aakar Kabra Par Kafan Daal Dena

Aaye Na Aanch Bharat Maata Ki Laaj Pe
Badhty Hi Jana Tum Karna Kaaj Re
Jholi Me Mata Ki Chaman Daaal Dena
Tum Aakar ....................!

Pavitra Jyada Rakhna Pavitrata Se Tum
Tamon Ko Dur Rakhna Prakashkon Se Tum
Jivan Me Maata Ke Khushiyan Daaal Dena
Tum Aakar.....................!

Kadam Kadam Badha Kar Aawaj Tum Lagana
Ahinsa Aur Sachai Ki Mashal Tum Jalana
Aangan Me Mata Ke Prakash Daaal Dena
Tum Aakar.....................!

Nar Samuh Tu Shakt Ban Yudh Ka Aagaj Kar
Tod Kar Janjir Sari Yahan Par Raaj Kar
Shish Par Mata Ke Tum Taaj Daal Dena
Tum Aakar ....................!
: Rahul soni “Rahi”

No comments:

Post a Comment