Magar ham muskuraty hai :- Rahi
Dukhon ka taaj hai sar pe magar ham muskurate hai
Sach to ye hai doston ham gam chupate hai
Adawat hai hamari is tarah khuda ki duniya me
Ke ham na kabhi kisi ko apna haal bataty hai
Nahi hai suroor ab kisi ki yaadon ka ham pe
Ke har ek yaad ko ham har pal bhulaty hai
Dediya hai hamen is jahan ne itna gam-e-jindagi
Kisi ke gam me bhi ham aaj na aansu bahaty hai
Karen kaise ye wafa ye wafadari ki baten ham
Jahan me koi na jab hamse wafadari nibhaty hai
Ke ek phul khila tha kabhi gulshan aabaad hua tha
Aaj har daal pe patjhad ke mousam rang laty hai
Kabhi karty the ham bhi kisi se pyaar ki baten
Aaj dard-e-judai uski dil me gungunaty hai
Ke kaise ye batayen unhe kya haal hai mera
Wo aaj bhi sharam se apna muh chupaty hai
: Rahul soni “Rahi”
No comments:
Post a Comment