Wednesday, July 14, 2010


Bewafa hamse wafa kar jayegi :- Rahi

Tarashengy ise sajayegy kisi murat ki tarah
Kabhi to jindagi, ye apni bhi sanwar jayegi

Hamne to kabhi kisi ka bhi bura nahi kiya
Kabhi to aadat hamari bhi, khuda ko raas aayegi

Nahi mangi kabhi mohlat hamne wafa ko nibhane ki
Kabhi to bewafa bhi, hamse wafa kar jayegi

Nahi ki hamne kabhi dua kahin kisi ko pane ki
Kabhi to moout aakar hamen gale apne lagayegi

Hai nasur agar ye jakham to ham bhi bane patthar
Kabhi to jaan me hamari kisi ki jaan aayegi

Tadapta hnu mai milne ko magar mai mil nahi sakta
Ke ek din ye khudai khud mujhe usse milayegi

Mai hnu ajnabi “Rahi” kahin bhatakta hi rehta hnu
Kabhi to manjil meri bhi kahin mukaam payegi

                                                                      : Rahul soni “Rahi”

No comments:

Post a Comment